Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaega koi chal ke KHizan se bahaar mein

Nida Fazli

aaega koi chal ke KHizan se bahaar mein

Nida Fazli

MORE BYNida Fazli

    Interesting Fact

    Jis ko kisu ne sabz na dekha bahaar mei.n (Mir Soz)

    aa.egā koī chal ke ḳhizāñ se bahār meñ

    sadiyāñ guzar ga.ī haiñ isī intizār meñ

    chhiḌte sāz-e-bazm meñ koī na thā kahīñ

    vo kaun thā jo bol rahā thā sitār meñ

    ye aur baat hai koī mahke koī chubhe

    gulshan to jitnā gul meñ hai utnā hai ḳhaar meñ

    apnī tarah se duniyā badalne ke vāste

    merā ek ghar hai mire iḳhtiyār meñ

    tishna-labī ne ret ko dariyā banā diyā

    paanī kahāñ thā varna kisī reg-zār meñ

    masrūf gorkan ko bhī shāyad pata nahīñ

    vo ḳhud khaḌā huā hai qazā qatār meñ

    aaega koi chal ke KHizan se bahaar mein

    sadiyan guzar gai hain isi intizar mein

    chhiDte hi saz-e-bazm mein koi na tha kahin

    wo kaun tha jo bol raha tha sitar mein

    ye aur baat hai koi mahke koi chubhe

    gulshan to jitna gul mein hai utna hai KHar mein

    apni tarah se duniya badalne ke waste

    mera hi ek ghar hai mere iKHtiyar mein

    tishna-labi ne ret ko dariya bana diya

    pani kahan tha warna kisi reg-zar mein

    masruf gorkan ko bhi shayad pata nahin

    wo KHud khaDa hua hai qaza ki qatar mein

    Source :
    • Book : Sheher Men Gaon (Pg. 612)
    • Author : Shahid Mahili
    • Edition : 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now