aadmi hun wasf-e-paighambar na mang
aadmī huuñ vasf-e-paiġhambar na maañg
mujh se mere dost merā sar na maañg
ye to mumkin hai ki sar de deñ magar
ham faqīroñ se koī patthar na maañg
aib meñ dāḳhil ho fankārī jahāñ
vaqt ke patthar vahāñ aazar na maañg
ho sake to aks lauTā de mujhe
aa.ine mujh se mirā paikar na maañg
jin ko nīñdoñ kī na ho chādar nasīb
un se ḳhvāboñ kā hasīñ bistar na maañg
aadmi hun wasf-e-paighambar na mang
mujh se mere dost mera sar na mang
ye to mumkin hai ki sar de den magar
hum faqiron se koi patthar na mang
aib mein daKHil ho fankari jahan
waqt ke patthar wahan aazar na mang
ho sake to aks lauTa de mujhe
aaine mujh se mera paikar na mang
jin ko nindon ki na ho chadar nasib
un se KHwabon ka hasin bistar na mang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.