zindagi chhoTi hai saman bahut
zindagī chhoTī hai sāmān bahut
aur dil ke bhī haiñ armān bahut
kyā haqīqat hai use kyā ma.alūm
ḳhush-gumāñ rahtā hai nādān bahut
har qadam par haiñ sanam-ḳhāne ka.ī
aaj ḳhatre meñ hai īmān bahut
dosto kuchh to karo us ke liye
jaane kyuuñ dil hai pareshān bahut
mutma.in hai jo muqaddar se 'majīd'
hai ye allāh kā ehsān bahut
zindagi chhoTi hai saman bahut
aur dil ke bhi hain arman bahut
kya haqiqat hai use kya malum
KHush-guman rahta hai nadan bahut
har qadam par hain sanam-KHane kai
aaj KHatre mein hai iman bahut
dosto kuchh to karo us ke liye
jaane kyun dil hai pareshan bahut
mutmain hai jo muqaddar se 'majid'
hai ye allah ka ehsan bahut
- Ek Aag Si Seene Mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.