zinda huuñ is tarah ki ġham-e-zindagī nahīñ
jaltā huā diyā huuñ magar raushnī nahīñ
vo muddateñ huī haiñ kisī se judā hue
lekin ye dil kī aag abhī tak bujhī nahīñ
aane ko aa chukā thā kinārā bhī sāmne
ḳhud us ke paas merī hī nayyā ga.ī nahīñ
hoñToñ ke paas aa.e hañsī kyā majāl hai
dil kā muāmla hai koī dil-lagī nahīñ
ye chāñd ye havā ye fazā sab haiñ maañd maañd
jo tū nahīñ to in meñ koī dil-kashī nahīñ
zinda hun is tarah ki gham-e-zindagi nahin
jalta hua diya hun magar raushni nahin
wo muddaten hui hain kisi se juda hue
lekin ye dil ki aag abhi tak bujhi nahin
aane ko aa chuka tha kinara bhi samne
KHud us ke pas meri hi nayya gai nahin
honTon ke pas aae hansi kya majal hai
dil ka muamla hai koi dil-lagi nahin
ye chand ye hawa ye faza sab hain mand mand
jo tu nahin to in mein koi dil-kashi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.