zargar-o-haddad KHush hon wo karen tadbir hum
zargar-o-haddād ḳhush hoñ vo kareñ tadbīr ham
tauq-e-zar tum pahno pahneñ āhanī zanjīr ham
aur dīvānoñ se rakhte haiñ zarā tauqīr ham
Dālte haiñ aap apne paañv meñ zanjīr ham
kufr-o-dīñ ke qā.ede donoñ adā ho jā.eñge
zab.h vo kāfir kare muñh se kaheñ takbīr ham
yuuñ hī ḳhush karte haiñ dil apnā umīd-e-vasl meñ
khīñchte haiñ ek jā apnī tirī tasvīr ham
aa gayā jis din ḳhayāl-e-joshish-e-dīvānagī
chaak kar Dāleñge apnā nāma-e-taqdīr ham
sun to o zālim bhalā ye bhī koī insāf hai
lā.eq-e-altāf aa'dā qābil-e-tāzīr ham
vasl mere un ke hogā kuchh ab is meñ shak nahīñ
kah do āmīñ de chuke is ḳhvāb kī tā'bīr ham
roz kā jhagḌā uThā.e kaun kar lete haiñ aaj
imtihān-e-kāvish-e-qātil tah-e-shamshīr ham
kyuuñ na mustaġhnī raheñ fazl-e-ḳhudā se ai 'nasīm'
rakhte haiñ mulk-e-suḳhan kī vāqa'ī jāgīr ham
zargar-o-haddad KHush hon wo karen tadbir hum
tauq-e-zar tum pahno pahnen aahani zanjir hum
aur diwanon se rakhte hain zara tauqir hum
Dalte hain aap apne panw mein zanjir hum
kufr-o-din ke qaede donon ada ho jaenge
zabh wo kafir kare munh se kahen takbir hum
yun hi KHush karte hain dil apna umid-e-wasl mein
khinchte hain ek ja apni teri taswir hum
aa gaya jis din KHayal-e-joshish-e-diwanagi
chaak kar Dalenge apna nama-e-taqdir hum
sun to o zalim bhala ye bhi koi insaf hai
laeq-e-altaf aa'da qabil-e-tazir hum
wasl mere un ke hoga kuchh ab is mein shak nahin
kah do aamin de chuke is KHwab ki ta'bir hum
roz ka jhagDa uThae kaun kar lete hain aaj
imtihan-e-kawish-e-qatil tah-e-shamshir hum
kyun na mustaghni rahen fazl-e-KHuda se ai 'nasim'
rakhte hain mulk-e-suKHan ki waqa'i jagir hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.