Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zara si baat par naraaz hona ranjishen karna

Humaira Rahman

zara si baat par naraaz hona ranjishen karna

Humaira Rahman

MORE BYHumaira Rahman

    zarā baat par nārāz honā ranjisheñ karnā

    mohabbat meñ use aatā nahīñ gunjā.isheñ karnā

    mirī beTī ne mujh ko dekh kar sīkhā hai barsoñ meñ

    purānā ā.īna rakh kar na.ī ārā.isheñ karnā

    mirī almāriyoñ meñ qīmtī sāmān kaafī thā

    magar achchhā lagā us se ka.ī farmā.isheñ karnā

    mujhe bachchoñ āñkhoñ meñ vo saare rañg milte haiñ

    jinheñ chhūne se aa.e zindagī ḳhvāhisheñ karnā

    'humairā' dhyān rakhnā Dūbte sūraj aahaT

    sadā chaḌhtī utartī dhuup paimā.isheñ karnā

    zara si baat par naraaz hona ranjishen karna

    mohabbat mein use aata nahin gunjaishen karna

    meri beTi ne mujh ko dekh kar sikha hai barson mein

    purana aaina rakh kar nai aaraishen karna

    meri almariyon mein qimti saman kafi tha

    magar achchha laga us se kai farmaishen karna

    mujhe bachchon ki aankhon mein wo sare rang milte hain

    jinhen chhune se aae zindagi ki KHwahishen karna

    'humaira' dhyan rakhna Dubte suraj ki aahaT ka

    sada chaDhti utarti dhup ki paimaishen karna

    RECITATIONS

    Azra Naqvi

    Azra Naqvi,

    Azra Naqvi

    Zara si bat par naraz hona ranjishein karna Azra Naqvi

    Source :
    • Book : urdu gazal ka magribi daricha (Pg. 75)
    • Author : javaaz jaafri
    • Publication : fazli book super market (2011)
    • Edition : 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now