zaKHmon ka byopari hai
zaḳhmoñ kā byopārī hai
achchhī sāhū-kārī hai
bojhal bojhal palkoñ par
raat abhī tak taarī hai
bas ik patthar jhuggī kā
shīsh-mahal par bhārī hai
saañp Dase ik umr huī
nashsha ab tak taarī hai
chand kahīñ ye fashion hai
chand kahīñ bad-kārī hai
amn-e-ālam kī ḳhātir
jañg yugoñ se jaarī hai
maiñ hī 'aslam' sachchā huuñ
jhūTī duniyā saarī hai
zaKHmon ka byopari hai
achchhi sahu-kari hai
bojhal bojhal palkon par
raat abhi tak tari hai
bas ek patthar jhuggi ka
shish-mahal par bhaari hai
sanp Dase ek umr hui
nashsha ab tak tari hai
chand kahin ye fashion hai
chand kahin bad-kari hai
amn-e-alam ki KHatir
jang yugon se jari hai
main hi 'aslam' sachcha hun
jhuTi duniya sari hai
- Book : Apne Ghar Tak Aa Pauhncha Hoon (Pg. 41)
- Author : Aslam Habib
- Publication : Educational Publishing House, Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.