yun baDi der se paimana liye baiTha hun
yuuñ baḌī der se paimāna liye baiThā huuñ
koī dekhe to ye samjhe ki piye baiThā huuñ
āḳhirī naav na aa.ī to kahāñ jā.ūñgā
shaam se paar utarne ke liye baiThā huuñ
mujh ko mālūm hai sach zahr lage hai sab ko
bol saktā huuñ magar hoñT siye baiThā huuñ
log bhī ab mire darvāze pe kam aate haiñ
maiñ bhī kuchh soch ke zanjīr diye baiThā huuñ
zindagī bhar ke liye ruuTh ke jaane vaale
maiñ abhī tak tirī tasvīr liye baiThā huuñ
kam se kam ret se āñkheñ to bacheñgī 'qaisar'
maiñ havāoñ kī taraf piiTh kiye baiThā huuñ
yun baDi der se paimana liye baiTha hun
koi dekhe to ye samjhe ki piye baiTha hun
aaKHiri naw na aai to kahan jaunga
sham se par utarne ke liye baiTha hun
mujh ko malum hai sach zahr lage hai sab ko
bol sakta hun magar honT siye baiTha hun
log bhi ab mere darwaze pe kam aate hain
main bhi kuchh soch ke zanjir diye baiTha hun
zindagi bhar ke liye ruTh ke jaane wale
main abhi tak teri taswir liye baiTha hun
kam se kam ret se aankhen to bachengi 'qaisar'
main hawaon ki taraf piTh kiye baiTha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.