ye talluq teri pahchan bana sakta tha
ye ta.alluq tirī pahchān banā saktā thā
tū mire saath bahut naam kamā saktā thā
ye bhī ejaaz mujhe ishq ne baḳhshā thā kabhī
us kī āvāz se maiñ diip jalā saktā thā
maiñ ne bāzār meñ ik baar ziyā bāñTī thī
merā kirdār mire haath kaTā saktā thā
kuchh masā.il mujhe ghar rok rahe haiñ varna
maiñ bhī majnūñ kī tarah ḳhaak uḌā saktā thā
ab to tinkā mujhe shahtīr se bhārī hai 'ḳhayāl'
maiñ kisī vaqt bahut bojh uThā saktā thā
ye talluq teri pahchan bana sakta tha
tu mere sath bahut nam kama sakta tha
ye bhi ejaz mujhe ishq ne baKHsha tha kabhi
us ki aawaz se main dip jala sakta tha
main ne bazar mein ek bar ziya banTi thi
mera kirdar mere hath kaTa sakta tha
kuchh masail mujhe ghar rok rahe hain warna
main bhi majnun ki tarah KHak uDa sakta tha
ab to tinka mujhe shahtir se bhaari hai 'KHayal'
main kisi waqt bahut bojh uTha sakta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.