ye sochna ghalat hai ki tum par nazar nahin
ye sochnā ġhalat hai ki tum par nazar nahīñ
masrūf ham bahut haiñ magar be-ḳhabar nahīñ
ab to ḳhud apne ḳhuun ne bhī saaf kah diyā
maiñ aap kā rahūñgā magar 'umr bhar nahīñ
aa hī ga.e haiñ ḳhvāb to phir jā.eñge kahāñ
āñkhoñ se aage un kī koī rahguzar nahīñ
kitnā ji.eñ kahāñ se ji.eñ aur kis liye
ye iḳhtiyār ham pe hai taqdīr par nahīñ
maazī kī raakh ulTīñ to chingāriyāñ milīñ
be-shak kisī ko chāho magar is qadar nahīñ
ye sochna ghalat hai ki tum par nazar nahin
masruf hum bahut hain magar be-KHabar nahin
ab to KHud apne KHun ne bhi saf kah diya
main aap ka rahunga magar 'umr bhar nahin
aa hi gae hain KHwab to phir jaenge kahan
aankhon se aage un ki koi rahguzar nahin
kitna jien kahan se jien aur kis liye
ye iKHtiyar hum pe hai taqdir par nahin
mazi ki rakh ulTin to chingariyan milin
be-shak kisi ko chaho magar is qadar nahin
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 669)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.