Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye shoale aazmana jaante hain

Ambareen Haseeb ambar

ye shoale aazmana jaante hain

Ambareen Haseeb ambar

MORE BYAmbareen Haseeb ambar

    ye sho.ale āzmānā jānte haiñ

    so ham dāman bachānā jānte haiñ

    ta.alluq jo bhī rakkho soch lenā

    ki ham rishta nibhānā jānte haiñ

    khanaktī nuqra.ī dilkash hañsī meñ

    ham apnā ġham chhupānā jānte haiñ

    bulānā nahīñ paḌtā hai 'amabar'

    ye ġham apnā Thikāna jānte haiñ

    ye shoale aazmana jaante hain

    so hum daman bachana jaante hain

    talluq jo bhi rakkho soch lena

    ki hum rishta nibhana jaante hain

    khanakti nuqrai dilkash hansi mein

    hum apna gham chhupana jaante hain

    bulana hi nahin paDta hai 'amabar'

    ye gham apna Thikana jaante hain

    Source :
    • Book : Dil Kay Ufuq Par (Pg. 79)
    • Author : Ambareen Haseeb Amber
    • Publication : Kitab Market ,Office 17 Urdu Bazar, Karachi, Pakistan (2012)
    • Edition : 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now