ye sannaTa bahut mahnga paDega
ye sannāTā bahut mahñgā paḌegā
ise bhī phuuT kar ronā paḌegā
vahī do-chār chehre ajnabī se
unhīñ ko phir se dohrānā paḌegā
koī ghar se nikaltā hī nahīñ hai
havā ko thak ke so jaanā paḌegā
yahāñ sūraj bhī kaalā paḌ gayā hai
kahīñ se din bhī mañgvānā paḌegā
vo achchhe the jo pahle mar ga.e haiñ
hameñ ab aur pachhtānā paḌegā
ye sannaTa bahut mahnga paDega
ise bhi phuT kar rona paDega
wahi do-chaar chehre ajnabi se
unhin ko phir se dohrana paDega
koi ghar se nikalta hi nahin hai
hawa ko thak ke so jaana paDega
yahan suraj bhi kala paD gaya hai
kahin se din bhi mangwana paDega
wo achchhe the jo pahle mar gae hain
hamein ab aur pachhtana paDega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.