Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye manzar dekh kar sahil ki hairani nahin jati

Abrar Ahmad Kashif

ye manzar dekh kar sahil ki hairani nahin jati

Abrar Ahmad Kashif

MORE BYAbrar Ahmad Kashif

    ye manzar dekh kar sāhil hairānī nahīñ jaatī

    mujhe chhū kar bhī koī mauj-e-tūfānī nahīñ jaatī

    pareshānī agar hai to pareshānī hal bhī hai

    pareshāñ-hāl rahne se pareshānī nahīñ jaatī

    ye kaise log haiñ jo ā.īna pahchān lete haiñ

    ki ab ham se to apnī shakl pahchānī nahīñ jaatī

    bahut kanjūs haiñ āñkheñ mirī aañsū bahāne meñ

    agarche daulat-e-ġham farāvānī nahīñ jaatī

    ġham-e-duniyā se pahlū to mirā ābād rahtā hai

    magar dil hai ki is ḳhāna-vīrānī nahīñ jaatī

    ye manzar dekh kar sahil ki hairani nahin jati

    mujhe chhu kar bhi koi mauj-e-tufani nahin jati

    pareshani agar hai to pareshani ka hal bhi hai

    pareshan-haal rahne se pareshani nahin jati

    ye kaise log hain jo aaina pahchan lete hain

    ki ab hum se to apni shakl pahchani nahin jati

    bahut kanjus hain aankhen meri aansu bahane mein

    agarche daulat-e-gham ki farawani nahin jati

    gham-e-duniya se pahlu to mera aabaad rahta hai

    magar dil hai ki is ki KHana-virani nahin jati

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now