ye mai-kash kaun ba-sad laghzish-e-mastana aata hai
ye mai-kash kaun bā-sad laġhzish-e-mastāna aatā hai
ishāre hote haiñ vo raunaq-e-mai-ḳhāna aatā hai
tumhārī bazm bhī kyā bazm hai ādāb haiñ kaise
vahī maqbūl hotā hai jo gustāḳhāna aatā hai
kahānī apnī apnī ahl-e-mahfil jab sunāte haiñ
mujhe bhī yaad ik bhūlā huā afsāna aatā hai
duā terī tire mantar bhalā maqbūl kyā hoñge
badī dil meñ liye sū-e-ibādat-ḳhāna aatā hai
havā-e-tāza abr-e-tar fuzūñ josh-e-numū lekin
nasīb-e-dushmanāñ hai khet meñ jo daana aatā hai
har ik Thokar pe hai ai 'amn' laġhzish kā gumāñ mujh ko
har ik patthar nazar sañg-e-dar-e-mai-ḳhāna aatā hai
ye mai-kash kaun ba-sad laghzish-e-mastana aata hai
ishaare hote hain wo raunaq-e-mai-KHana aata hai
tumhaari bazm bhi kya bazm hai aadab hain kaise
wahi maqbul hota hai jo gustaKHana aata hai
kahani apni apni ahl-e-mahfil jab sunate hain
mujhe bhi yaad ek bhula hua afsana aata hai
dua teri tere mantar bhala maqbul kya honge
badi dil mein liye su-e-ibaadat-KHana aata hai
hawa-e-taza abr-e-tar fuzun josh-e-numu lekin
nasib-e-dushmanan hai khet mein jo dana aata hai
har ek Thokar pe hai ai 'amn' laghzish ka guman mujh ko
har ek patthar nazar sang-e-dar-e-mai-KHana aata hai
- Book : Aazadi ke baad dehli men urdu gazal (Pg. 58)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.