ye kaisi aag barasti hai aasmanon se
ye kaisī aag barastī hai āsmānoñ se
parinde lauT ke aane lage uḌānoñ se
koī to DhūñD ke mujh ko kahīñ se le aa.e
ki ḳhud ko dekhā nahīñ hai bahut zamānoñ se
palak jhapakte meñ mere uḌaan bharte hī
hazāroñ tiir nikal ā.eñge kamānoñ se
huī haiñ dair-o-haram meñ ye sāzisheñ kaisī
dhuāñ sā uThne lagā shahr ke makānoñ se
shikār karnā thā jin ko shikār kar ke ga.e
shikāriyo utar aao tum ab machānoñ se
rivāyatoñ ko kahāñ tak uThā.e ghūmoge
ye bojh utaar do 'pāshī' tum apne shānoñ se
ye kaisi aag barasti hai aasmanon se
parinde lauT ke aane lage uDanon se
koi to DhunD ke mujh ko kahin se le aae
ki KHud ko dekha nahin hai bahut zamanon se
palak jhapakte mein mere uDan bharte hi
hazaron tir nikal aaenge kamanon se
hui hain dair-o-haram mein ye sazishen kaisi
dhuan sa uThne laga shahr ke makanon se
shikar karna tha jin ko shikar kar ke gae
shikariyo utar aao tum ab machanon se
riwayaton ko kahan tak uThae ghumoge
ye bojh utar do 'pashi' tum apne shanon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.