ye kar-e-be-samran mujhse hone wala nahin
ye kār-e-be-samrāñ mujh se hone vaalā nahīñ
maiñ zindagī ko bahut der Dhone vaalā nahīñ
maiñ sat.h-e-āb pe ik tairtā huā lāsha
mujhe koī bhī samundar Dubone vaalā nahīñ
baḌe jatan se milā hai ye apnā aap mujhe
maiñ ab kisī ke liye ḳhud ko khone vaalā nahīñ
fasīl-e-shahr tirā āḳhirī muhāfiz huuñ
ye shahr jaage na jaage maiñ sone vaalā nahīñ
vo ek tū ki tire ġham meñ ik jahāñ ro.e
vo ek maiñ ki mirā koī rone vaalā nahīñ
kisī ko phuul na de pā.ūñ maiñ agar 'shahbāz'
kisī kī ruuh meñ kāñTe chubhone vaalā nahīñ
ye kar-e-be-samran mujh se hone wala nahin
main zindagi ko bahut der Dhone wala nahin
main sath-e-ab pe ek tairta hua lasha
mujhe koi bhi samundar Dubone wala nahin
baDe jatan se mila hai ye apna aap mujhe
main ab kisi ke liye KHud ko khone wala nahin
fasil-e-shahr tera aaKHiri muhafiz hun
ye shahr jage na jage main sone wala nahin
wo ek tu ki tere gham mein ek jahan roe
wo ek main ki mera koi rone wala nahin
kisi ko phul na de paun main agar 'shahbaz'
kisi ki ruh mein kanTe chubhone wala nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.