ye kaenat ye bazm-e-zuhur kuchh bhi nahin
ye kā.enāt ye bazm-e-zuhūr kuchh bhī nahīñ
tirī nazar meñ nahīñ hai jo nuur kuchh bhī nahīñ
nigah agar ho to har zarre meñ hazāroñ tuur
nigah agar na ho bālā-e-tūr kuchh bhī nahīñ
ye qurb o bod ba-miqdār-e-shauq sālik haiñ
jise tū duur samajhtā hai duur kuchh bhī nahīñ
ye kaenat ye bazm-e-zuhur kuchh bhi nahin
teri nazar mein nahin hai jo nur kuchh bhi nahin
nigah agar ho to har zarre mein hazaron tur
nigah agar na ho baala-e-tur kuchh bhi nahin
ye qurb o bod ba-miqdar-e-shauq salik hain
jise tu dur samajhta hai dur kuchh bhi nahin
- Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 945)
- Author : Dr. Abdul Wahid
- Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.