ye gham phir se ubharta ja raha hai
ye ġham phir se ubhartā jā rahā hai
mujhe hairān kartā jā rahā hai
sunā me.ayār girtā jā rahā hai
magar banda nikhartā jā rahā hai
mujhe ye kyā huā hai kuchh dinoñ se
tirā ehsās martā jā rahā hai
amaañ is ḳhvāb ko bhī kyā kaheñ ab
bikharnā thā bikhartā jā rahā hai
tirā ḳhāmoshiyoñ ko vaqt denā
sadāoñ ko akhartā jā rahā hai
hamīñ ne hī use rasta diyā thā
hamīñ pe paañv dhartā jā rahā hai
purānī dekh kar tasvīr terī
nayā har din guzartā jā rahā hai
maiñ jitnī aur piitā jā rahā huuñ
nasha utnā utartā jā rahā hai
sunā hai 'mīt' ḳhvāboñ se nikal kar
vo āñkhoñ meñ Thahartā jā rahā hai
ye gham phir se ubharta ja raha hai
mujhe hairan karta ja raha hai
suna meayar girta ja raha hai
magar banda nikharta ja raha hai
mujhe ye kya hua hai kuchh dinon se
tera ehsas marta ja raha hai
aman is KHwab ko bhi kya kahen ab
bikharna tha bikharta ja raha hai
tera KHamoshiyon ko waqt dena
sadaon ko akharta ja raha hai
hamin ne hi use rasta diya tha
hamin pe panw dharta ja raha hai
purani dekh kar taswir teri
naya har din guzarta ja raha hai
main jitni aur pita ja raha hun
nasha utna utarta ja raha hai
suna hai 'mit' KHwabon se nikal kar
wo aankhon mein Thaharta ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.