ye bala dil pe kab aai mujhe malum nahin
ye balā dil pe kab aa.ī mujhe ma.alūm nahīñ
dard ab kaisā hai bhaa.ī mujhe ma.alūm nahīñ
apne jalne kā hamesha se tamāshā.ī huuñ
aag ye kis ne lagā.ī mujhe ma.alūm nahīñ
hālat-e-hijr meñ huuñ ye to ḳhabar hai mujh ko
par ye kis kī hai judā.ī mujhe ma.alūm nahīñ
haañ bahut duur bahut duur vo rahtā hai kahīñ
kaise detā hai dikhā.ī mujhe ma.alūm nahīñ
jism se mere ab us kī hī mahak aatī hai
kab vo yuuñ mujh meñ samā.ī mujhe ma.alūm nahīñ
aatī jaatī hai vo ab saañs kī sūrat mujh meñ
kab ga.ī aur kab aa.ī mujhe ma.alūm nahīñ
maiñ to kah aaya ḳhamoshī kī zabāñ se sab kuchh
kyā diyā us ko sunā.ī mujhe ma.alūm nahīñ
muddat-e-qaid kā iḳhfā hai yahāñ kā dastūr
yaanī kab hogī rihā.ī mujhe ma.alūm nahīñ
ye bala dil pe kab aai mujhe malum nahin
dard ab kaisa hai bhai mujhe malum nahin
apne jalne ka hamesha se tamashai hun
aag ye kis ne lagai mujhe malum nahin
haalat-e-hijr mein hun ye to KHabar hai mujh ko
par ye kis ki hai judai mujhe malum nahin
han bahut dur bahut dur wo rahta hai kahin
kaise deta hai dikhai mujhe malum nahin
jism se mere ab us ki hi mahak aati hai
kab wo yun mujh mein samai mujhe malum nahin
aati jati hai wo ab sans ki surat mujh mein
kab gai aur kab aai mujhe malum nahin
main to kah aaya KHamoshi ki zaban se sab kuchh
kya diya us ko sunai mujhe malum nahin
muddat-e-qaid ka iKHfa hai yahan ka dastur
yani kab hogi rihai mujhe malum nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.