wo nind adhuri thi kya KHwab na-tamam tha kya
vo niiñd adhūrī thī kyā ḳhvāb nā-tamām thā kyā
maiñ jis ko soch rahā thā ḳhayāl-e-ḳhām thā kyā
udhar se hī koī guzrā jidhar se guzrā tū
tirī misāl koī aur ḳhush-ḳhirām thā kyā
milūñ to kaise milūñ be-talab kisī se maiñ
jise milūñ vo kahe mujh se koī kaam thā kyā
usī ke saath rahā jis ne tujh se nafrat kī
tirī nazar meñ 'zafar' us kā kuchh maqām thā kyā
wo nind adhuri thi kya KHwab na-tamam tha kya
main jis ko soch raha tha KHayal-e-KHam tha kya
udhar se hi koi guzra jidhar se guzra tu
teri misal koi aur KHush-KHiram tha kya
milun to kaise milun be-talab kisi se main
jise milun wo kahe mujh se koi kaam tha kya
usi ke sath raha jis ne tujh se nafrat ki
teri nazar mein 'zafar' us ka kuchh maqam tha kya
- Book : Mazhab-e-Ishq (Pg. 339)
- Author : Sabir Zafar
- Publication : Rang-e-Adab Publications, Karachi (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.