wo marka ki aaj bhi sar ho nahin saka
vo mārka ki aaj bhī sar ho nahīñ sakā
maiñ thak ke muskurā diyā jab ro nahīñ sakā
is baar ye huā tirī yādoñ kī bhiiḌ meñ
har gaam ḳhud ko mil gayā maiñ kho nahīñ sakā
jaagā huuñ gahrī niind se lekin ajiib baat
ye lag rahā hai jaise ki maiñ so nahīñ sakā
ug aa.ī ghaas ishq ke malbe pe har taraf
ham donoñ meñ se koī use dho nahīñ sakā
jādū-nagar hai koī mirā andarūñ jahāñ
hotā rahā hai vo jo kabhī ho nahīñ sakā
wo marka ki aaj bhi sar ho nahin saka
main thak ke muskura diya jab ro nahin saka
is bar ye hua teri yaadon ki bhiD mein
har gam KHud ko mil gaya main kho nahin saka
jaga hun gahri nind se lekin ajib baat
ye lag raha hai jaise ki main so nahin saka
ug aai ghas ishq ke malbe pe har taraf
hum donon mein se koi use dho nahin saka
jadu-nagar hai koi mera andarun jahan
hota raha hai wo jo kabhi ho nahin saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.