wo KHwab tha bikhar gaya KHayal tha mila nahin
wo KHwab tha bikhar gaya KHayal tha mila nahin
Iftikhar Imam Siddiqi
MORE BYIftikhar Imam Siddiqi
vo ḳhvāb thā bikhar gayā ḳhayāl thā milā nahīñ
magar ye dil ko kyā huā kyuuñ bujh gayā patā nahīñ
har ek din udaas din tamām shab udāsiyāñ
kisī se kyā bichhaḌ ga.e ki jaise kuchh bachā nahīñ
vo saath thā to manzileñ nazar nazar charāġh thiiñ
qadam qadam safar meñ ab koī bhī lab duā nahīñ
ham apne is mizāj meñ kahīñ bhī ghar na ho sake
kisī se ham mile nahīñ kisī se dil milā nahīñ
hai shor sā taraf taraf ki sarhadoñ kī jañg meñ
zamīñ pe aadmī nahīñ falak pe kyā ḳhudā nahīñ
wo KHwab tha bikhar gaya KHayal tha mila nahin
magar ye dil ko kya hua kyun bujh gaya pata nahin
har ek din udas din tamam shab udasiyan
kisi se kya bichhaD gae ki jaise kuchh bacha nahin
wo sath tha to manzilen nazar nazar charagh thin
qadam qadam safar mein ab koi bhi lab dua nahin
hum apne is mizaj mein kahin bhi ghar na ho sake
kisi se hum mile nahin kisi se dil mila nahin
hai shor sa taraf taraf ki sarhadon ki jang mein
zamin pe aadmi nahin falak pe kya KHuda nahin
- Book : Junoon (Pg. 112)
- Author : Naseem Muqri
- Publication : Naseem Muqri (1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.