wo chir ke aakash zamin par utar aaya
vo chiir ke ākāsh zamīñ par utar aayā
jaltā huā sūraj mirī āñkhoñ meñ dar aayā
lahroñ ne ka.ī baar mire dar pe dī dastak
phir saath mujhe lene samundar idhar aayā
vo ziist ke us paar kī thaah lene gayā thā
par lauT ke ab tak na mirā ham-safar aayā
fursat ho to ye jism bhī miTTī meñ dabā do
lo phir maiñ zamāñ aur makāñ se idhar aayā
wo chir ke aakash zamin par utar aaya
jalta hua suraj meri aankhon mein dar aaya
lahron ne kai bar mere dar pe di dastak
phir sath mujhe lene samundar idhar aaya
wo zist ke us par ki thah lene gaya tha
par lauT ke ab tak na mera ham-safar aaya
fursat ho to ye jism bhi miTTi mein daba do
lo phir main zaman aur makan se idhar aaya
- Book : kushaad (Pg. 82)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.