wo bhi kuchh bhula hua tha main kuchh bhaTka hua
vo bhī kuchh bhūlā huā thā maiñ kuchh bhaTkā huā
raakh meñ chingāriyāñ DhūñDī ga.iiñ aisā huā
dāstāneñ hī sunānī haiñ to phir itnā to ho
sunñe vaalā shauq se ye kah uThe phir kyā huā
'umr kā Dhalnā kisī ke kaam to aayā chalo
aa.ine kī hairateñ kam ho ga.iiñ achchhā huā
raat aa.ī aur phir tārīḳh ko dohrā ga.ī
yuuñ huā ik ḳhvāb to dekhā magar dekhā huā
vo kisī ko yaad kar ke muskurāyā thā udhar
aur maiñ nādān ye samjhā ki vo merā huā
wo bhi kuchh bhula hua tha main kuchh bhaTka hua
rakh mein chingariyan DhunDi gain aisa hua
dastanen hi sunani hain to phir itna to ho
sunne wala shauq se ye kah uThe phir kya hua
'umr ka Dhalna kisi ke kaam to aaya chalo
aaine ki hairaten kam ho gain achchha hua
raat aai aur phir tariKH ko dohra gai
yun hua ek KHwab to dekha magar dekha hua
wo kisi ko yaad kar ke muskuraya tha udhar
aur main nadan ye samjha ki wo mera hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.