wo bhi chup-chap hai is bar ye qissa kya hai
vo bhī chup-chāp hai is baar ye qissa kyā hai
tum bhī ḳhāmosh ho sarkār ye qissa kyā hai
sirf nafrat hī thī mere liye jin ke dil meñ
ho ga.e vo bhī taraf-dār ye qissa kyā hai
sāmne koī bhañvar hai na talātum phir bhī
chhūTtī jaa.e hai patvār ye qissa kyā hai
baiThte jab haiñ khilaune vo banāne ke liye
un se ban jaate haiñ hathiyār ye qissa kyā hai
vo jo qisse meñ thā shāmil vahī kahtā hai mujhe
mujh ko ma.alūm nahīñ yaar ye qissa kyā hai
wo bhi chup-chap hai is bar ye qissa kya hai
tum bhi KHamosh ho sarkar ye qissa kya hai
sirf nafrat hi thi mere liye jin ke dil mein
ho gae wo bhi taraf-dar ye qissa kya hai
samne koi bhanwar hai na talatum phir bhi
chhuTti jae hai patwar ye qissa kya hai
baiThte jab hain khilaune wo banane ke liye
un se ban jate hain hathiyar ye qissa kya hai
wo jo qisse mein tha shamil wahi kahta hai mujhe
mujh ko malum nahin yar ye qissa kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.