wan jo kuchh kabe mein asrar hai allah allah
vaañ jo kuchh ka.abe meñ asrār hai allāh allāh
so mire but meñ numūdār hai allāh allāh
dair meñ ka.abe meñ maiḳhāne meñ aur masjid meñ
jalva-gar sab meñ mirā yaar hai allāh allāh
us ke har naqsh-e-qadam par kareñ āshiq sajda
but-e-kāfir kī vo raftār hai allāh allāh
husn ke us kī kiyā tūr-e-tajallī dil ko
haa.e kyā jalva-e-dīdār hai allāh allāh
na ġharaz kufr se na diin se ham ko matlab
yaar se apne sarokār hai allāh allāh
shaiḳh hai tujh ko hī inkār sanam mere se
varna har shaḳhs ko iqrār hai allāh allāh
ḳhauf kyā daġhdaġha-e-hashr se hai mujh ko 'muhib'
pīr-e-man haidar-e-karrār hai allāh allāh
wan jo kuchh kabe mein asrar hai allah allah
so mere but mein numudar hai allah allah
dair mein kabe mein maiKHane mein aur masjid mein
jalwa-gar sab mein mera yar hai allah allah
us ke har naqsh-e-qadam par karen aashiq sajda
but-e-kafir ki wo raftar hai allah allah
husn ke us ki kiya tur-e-tajalli dil ko
hae kya jalwa-e-didar hai allah allah
na gharaz kufr se na din se hum ko matlab
yar se apne sarokar hai allah allah
shaiKH hai tujh ko hi inkar sanam mere se
warna har shaKHs ko iqrar hai allah allah
KHauf kya daghdagha-e-hashr se hai mujh ko 'muhib'
pir-e-man haidar-e-karrar hai allah allah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.