usi ki den hai gham mein gila nahin karta
usī kī den hai ġham meñ gila nahīñ kartā
qubūl ho ki na ho ab duā nahīñ kartā
na ho malūl burā vaqt sab pe aatā hai
kisī ke saath zamāna vafā nahīñ kartā
tum aise achchhe ki achchhe nahīñ kisī ke saath
maiñ vo burā ki kisī kā burā nahīñ kartā
mile murād hamārī magar mile bhī kahīñ
ḳhudā kare magar aisā ḳhudā nahīñ kartā
usi ki den hai gham mein gila nahin karta
qubul ho ki na ho ab dua nahin karta
na ho malul bura waqt sab pe aata hai
kisi ke sath zamana wafa nahin karta
tum aise achchhe ki achchhe nahin kisi ke sath
main wo bura ki kisi ka bura nahin karta
mile murad hamari magar mile bhi kahin
KHuda kare magar aisa KHuda nahin karta
- Deewan-e-Natiq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.