use humne kabhi dekha nahin hai
use ham ne kabhī dekhā nahīñ hai
vo ham se duur hai aisā nahīñ hai
yaqīnan sochtā hogā vo mujh ko
use maiñ ne abhī sochā nahīñ hai
jidhar jaatā huuñ duniyā Toktī hai
idhar kā rāsta terā nahīñ hai
safar āzād hone ke liye hai
mujhe manzil kā kuchh dhokā nahīñ hai
maiñ apnī yātrā par jā rahā huuñ
mujhe ab lauT kar aanā nahīñ hai
hue āzād jab jaanā ye 'sānī'
mafar kā koī bhī rasta nahīñ hai
use hum ne kabhi dekha nahin hai
wo hum se dur hai aisa nahin hai
yaqinan sochta hoga wo mujh ko
use main ne abhi socha nahin hai
jidhar jata hun duniya Tokti hai
idhar ka rasta tera nahin hai
safar aazad hone ke liye hai
mujhe manzil ka kuchh dhoka nahin hai
main apni yatra par ja raha hun
mujhe ab lauT kar aana nahin hai
hue aazad jab jaana ye 'sani'
mafar ka koi bhi rasta nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.