usne kyun sab se juda meri pazirai ki
us ne kyuuñ sab se judā merī pazīrā.ī kī
maslahat-kosh thī har baat shanāsā.ī kī
zaḳhm-e-dil ham ne sajā.e to idhar bhī us ne
nāz-o-andāz se jaarī sitam-ārā.ī kī
jism tarshā huā sāñche meñ Dhalā hai jaise
dast-e-āzar ne qasam khaa.ī ho sannā.ī kī
aisā sairāb kiyā us ne ki ḳhud tishna-labī
ik sanad ban ga.ī tārīḳh meñ saqqā.ī kī
shukr hai ai shab-e-hijrāñ ki baḌī muddat par
ho ga.ī dil se mulāqāt bhī bīnā.ī kī
shukriyā tum ne bujhāyā mirī hastī kā charāġh
tum sazā-vār nahīñ tum ne to achchhā.ī kī
us ne kyun sab se juda meri pazirai ki
maslahat-kosh thi har baat shanasai ki
zaKHm-e-dil hum ne sajae to idhar bhi us ne
naz-o-andaz se jari sitam-arai ki
jism tarsha hua sanche mein Dhala hai jaise
dast-e-azar ne qasam khai ho sannai ki
aisa sairab kiya us ne ki KHud tishna-labi
ek sanad ban gai tariKH mein saqqai ki
shukr hai ai shab-e-hijran ki baDi muddat par
ho gai dil se mulaqat bhi binai ki
shukriya tum ne bujhaya meri hasti ka charagh
tum saza-war nahin tum ne to achchhai ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.