usne aawara-mizaji ko naya moD diya
us ne āvāra-mizājī ko nayā moḌ diyā
pā-ba-zanjīr kiyā aur mujhe chhoḌ diyā
us ne āñchal se nikālī mirī gum-gashta bayāz
aur chupke se mohabbat kā varaq moḌ diyā
jaane vaale ne hamesha kī judā.ī de kar
dil ko āñkhoñ meñ dhaḌakne ke liye chhoḌ diyā
ham ko ma.alūm thā anjām-e-mohabbat ham ne
āḳhirī harf se pahle hī qalam toḌ diyā
us ne aawara-mizaji ko naya moD diya
pa-ba-zanjir kiya aur mujhe chhoD diya
us ne aanchal se nikali meri gum-gashta bayaz
aur chupke se mohabbat ka waraq moD diya
jaane wale ne hamesha ki judai de kar
dil ko aankhon mein dhaDakne ke liye chhoD diya
hum ko malum tha anjam-e-mohabbat hum ne
aaKHiri harf se pahle hi qalam toD diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.