ufuq ke aaKHiri manzar mein jagmagaun main
ufuq ke āḳhirī manzar meñ jagmagā.ūñ maiñ
hisār-e-zāt se niklūñ to ḳhud ko pā.ūñ maiñ
zamīr o zehn meñ ik sard jañg jaarī hai
kise shikast duuñ aur kis pe fat.h pā.ūñ maiñ
tasavvurāt ke āñgan meñ chāñd utrā hai
ravish ravish tirī chāhat se jagmagā.ūñ maiñ
zamīñ kī fikr meñ sadiyāñ guzar ga.iiñ 'ajmal'
kahāñ se koī ḳhabar āsmāñ kī lā.ūñ maiñ
ufuq ke aaKHiri manzar mein jagmagaun main
hisar-e-zat se niklun to KHud ko paun main
zamir o zehn mein ek sard jang jari hai
kise shikast dun aur kis pe fath paun main
tasawwuraat ke aangan mein chand utra hai
rawish rawish teri chahat se jagmagaun main
zamin ki fikr mein sadiyan guzar gain 'ajmal'
kahan se koi KHabar aasman ki laun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.