uDi jo gard to is KHak-dan ko pahchana
uḌī jo gard to is ḳhāk-dāñ ko pahchānā
aur us ke ba.ad dil-e-be-nishāñ ko pahchānā
jalā jo rizq to ham āsmāñ ko jaan ga.e
lagī jo pyaas to tiir o kamāñ ko pahchānā
chalo ye aañkh kā jal-thal to tum ne dekh liyā
magar ye kyā ki na abr-e-ravāñ ko pahchānā
bahār aa.ī to har-sū thiiñ katraneñ us kī
bahār aa.ī to ham ne ḳhizāñ ko pahchānā
ḳhud apne ġham hī se kī pahle dostī ham ne
aur us ke ba.ad ġham-e-dostāñ ko pahchānā
safar tavīl sahī hāsil-e-safar ye hai
vahāñ ko bhuul ga.e aur yahāñ ko pahchānā
zamīñ se haath chhuḌāyā to fāsle jaage
magar na ham ne karāñ-tā-karāñ ko pahchānā
ajab tarah se guzārī hai zindagī ham ne
jahāñ meñ rah ke na kār-e-jahāñ ko pahchānā
uDi jo gard to is KHak-dan ko pahchana
aur us ke baad dil-e-be-nishan ko pahchana
jala jo rizq to hum aasman ko jaan gae
lagi jo pyas to tir o kaman ko pahchana
chalo ye aankh ka jal-thal to tum ne dekh liya
magar ye kya ki na abr-e-rawan ko pahchana
bahaar aai to har-su thin katranen us ki
bahaar aai to hum ne KHizan ko pahchana
KHud apne gham hi se ki pahle dosti hum ne
aur us ke baad gham-e-dostan ko pahchana
safar tawil sahi hasil-e-safar ye hai
wahan ko bhul gae aur yahan ko pahchana
zamin se hath chhuDaya to fasle jage
magar na hum ne karan-ta-karan ko pahchana
ajab tarah se guzari hai zindagi hum ne
jahan mein rah ke na kar-e-jahan ko pahchana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.