udas raaton mein tez coffee ki talKHiyon mein
udaas rātoñ meñ tez coffē kī talḳhiyoñ meñ
vo kuchh ziyāda hī yaad aatā hai sardiyoñ meñ
mujhe ijāzat nahīñ hai us ko pukārne kī
jo gūñjtā hai lahū meñ siine kī dhaḌkanoñ meñ
vo bachpanā jo udaas rāhoñ meñ kho gayā thā
maiñ DhūñDtā huuñ use tumhārī sharāratoñ meñ
use dilāse to de rahā huuñ magar ye sach hai
kahīñ koī ḳhauf baḌh rahā hai tasalliyoñ meñ
tum apnī poroñ se jaane kyā likh ga.e the jānāñ
charāġh raushan haiñ ab bhī merī hatheliyoñ meñ
jo tū nahīñ hai to ye mukammal na ho sakeñgī
tirī yahī ahmiyat hai merī kahāniyoñ meñ
mujhe yaqīñ hai vo thaam legā bharam rakhegā
ye maan hai to diye jalā.e haiñ āñdhiyoñ meñ
har ek mausam meñ raushnī sī bikherte haiñ
tumhāre ġham ke charāġh merī udāsiyoñ meñ
udas raaton mein tez coffee ki talKHiyon mein
wo kuchh ziyaada hi yaad aata hai sardiyon mein
mujhe ijazat nahin hai us ko pukarne ki
jo gunjta hai lahu mein sine ki dhaDkanon mein
wo bachpana jo udas rahon mein kho gaya tha
main DhunDta hun use tumhaari shararaton mein
use dilase to de raha hun magar ye sach hai
kahin koi KHauf baDh raha hai tasalliyon mein
tum apni poron se jaane kya likh gae the jaanan
charagh raushan hain ab bhi meri hatheliyon mein
jo tu nahin hai to ye mukammal na ho sakengi
teri yahi ahmiyat hai meri kahaniyon mein
mujhe yaqin hai wo tham lega bharam rakhega
ye man hai to diye jalae hain aandhiyon mein
har ek mausam mein raushni si bikherte hain
tumhaare gham ke charagh meri udasiyon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.