tumhein bhi chaha, zamane se bhi wafa ki thi
tumheñ bhī chāhā, zamāne se bhī vafā kī thī
ye nig.h-dārī junūñ ne judā judā kī thī
vo saarā qissa faqat rakh-rakhāv kā to na thā
us ek naam se nisbat bhī intihā kī thī
kisī chhabīle meñ vo chhab nazar nahīñ aa.ī
vo ek chhab ki jo us ā.īna-qabā kī thī
ḳhudā! sila de duā kaa, mohabbatoñ ke ḳhudā
ḳhudā! kisī ne kisī ke liye duā kī thī
maiñ apnā chehra kahāñ DhūñDhtā phiruñgā ab
ki maiñ ne terī jabīñ apnā aa.inā kī thī
hameñ tabāh to honā thā apnī apnī jagah!
tavīl jañg thī aur jañg bhī anā kī thī
sabā-nafas thā vo aur maiñ thā gard-bād-mizāj
hamāre biich thī jo qadr so havā kī thī
tumhein bhi chaha, zamane se bhi wafa ki thi
ye nigh-dari junun ne juda juda ki thi
wo sara qissa faqat rakh-rakhaw ka to na tha
us ek nam se nisbat bhi intiha ki thi
kisi chhabile mein wo chhab nazar nahin aai
wo ek chhab ki jo us aaina-qaba ki thi
KHuda! sila de dua ka, mohabbaton ke KHuda
KHuda! kisi ne kisi ke liye dua ki thi
main apna chehra kahan DhunDhta phirunga ab
ki main ne teri jabin apna aaina ki thi
hamein tabah to hona tha apni apni jagah!
tawil jang thi aur jang bhi ana ki thi
saba-nafas tha wo aur main tha gard-baad-mizaj
hamare bich thi jo qadr so hawa ki thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.