tumhaari bazm mein jis baat ka bhi charcha tha
tumhārī bazm meñ jis baat kā bhī charchā thā
mujhe yaqīn hai us meñ na zikr merā thā
na sard aa.heñ na shikve na zikr-e-dard-e-firāq
hamāre ishq kā andāz hī nirālā thā
kal aa gayā thā sivā neze par mirā sūraj
maiñ jal rahā thā magar har taraf añdherā thā
thā chehra yaḳh-zada jazbāt kī hasīñ tasvīr
badan kashish kā muraqqa.a sarāb-āsā thā
mujhe bhī fursat-e-nazzāra-e-jamāl na thī
aur us ko paas kisī aur ke bhī jaanā thā
tumhaari bazm mein jis baat ka bhi charcha tha
mujhe yaqin hai us mein na zikr mera tha
na sard aahen na shikwe na zikr-e-dard-e-firaq
hamare ishq ka andaz hi nirala tha
kal aa gaya tha siwa neze par mera suraj
main jal raha tha magar har taraf andhera tha
tha chehra yaKH-zada jazbaat ki hasin taswir
badan kashish ka muraqqa sarab-asa tha
mujhe bhi fursat-e-nazzara-e-jamal na thi
aur us ko pas kisi aur ke bhi jaana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.