tumhaare pas rahen hum to maut bhi kya hai
tumhāre paas raheñ ham to maut bhī kyā hai
magar jo duur kaTe tum se zindagī kyā hai
jab uTh ke chal diye tum tīrgī umaD aa.ī
jo tum na ho to charāġhoñ kī raushnī kyā hai
kuchh aise phuul bhī guzre haiñ merī nazroñ se
jo khil ke bhī na samajh paa.e zindagī kyā hai
bas un kī yaad ke ham paañv chuum lete haiñ
hameñ ḳhabar nahīñ merāj-e-bandagī kyā hai
kabhī jo gosh-bar-āvāz ho ke us ko suno
tumheñ pata bhī chale sāz-e-ḳhāmushī kyā hai
mirī nigāh ne kyā kyā na ḳhvāb dekhe haiñ
tirī nigāh ne ik baat sī kahī kyā hai
hamīñ ne zulmat-e-hastī meñ dil jalā.e haiñ
ye ham samajhte haiñ darmān-e-tīrgī kyā hai
ubhar rahī hai jo rah rah ke dil kī dhaḌkan meñ
vo aarzū hai ki hai us kī bebasī kyā hai
ḳhizāñ-nasīb hoñ nazreñ jo ahl-e-gulshan kī
to phir bahār ke jalvoñ kī tāzgī kyā hai
jahāñ meñ ye kabhī majbūr hai kabhī muḳhtār
hai ek sho.abada 'āzād' aadmī kyā hai
tumhaare pas rahen hum to maut bhi kya hai
magar jo dur kaTe tum se zindagi kya hai
jab uTh ke chal diye tum tirgi umaD aai
jo tum na ho to charaghon ki raushni kya hai
kuchh aise phul bhi guzre hain meri nazron se
jo khil ke bhi na samajh pae zindagi kya hai
bas un ki yaad ke hum panw chum lete hain
hamein KHabar nahin meraj-e-bandagi kya hai
kabhi jo gosh-bar-awaz ho ke us ko suno
tumhein pata bhi chale saz-e-KHamushi kya hai
meri nigah ne kya kya na KHwab dekhe hain
teri nigah ne ek baat si kahi kya hai
hamin ne zulmat-e-hasti mein dil jalae hain
ye hum samajhte hain darman-e-tirgi kya hai
ubhar rahi hai jo rah rah ke dil ki dhaDkan mein
wo aarzu hai ki hai us ki bebasi kya hai
KHizan-nasib hon nazren jo ahl-e-gulshan ki
to phir bahaar ke jalwon ki tazgi kya hai
jahan mein ye kabhi majbur hai kabhi muKHtar
hai ek shoabada 'azad' aadmi kya hai
- Book : Dasht-e-Sada (Pg. 119)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.