tumhaare log kahte hain kamar hai
tumhāre log kahte haiñ kamar hai
kahāñ hai kis tarah kī hai kidhar hai
lab-e-shīrīñ chhupe nahiñ rañg-e-pān siiñ
nihāñ minqār-e-tūtī meñ shakar hai
kyā hai be-ḳhabar donoñ jahāñ siiñ
mohabbat ke nashe meñ kyā asar hai
tirā mukh dekh ā.īnā huā hai
tahayyur dil kuuñ mere is qadar hai
taḳhallus 'ābrū' bar jā hai merā
hamesha ashk-e-ġham siiñ chashm tar hai
tumhaare log kahte hain kamar hai
kahan hai kis tarah ki hai kidhar hai
lab-e-shirin chhupe nahin rang-e-pan sin
nihan minqar-e-tuti mein shakar hai
kya hai be-KHabar donon jahan sin
mohabbat ke nashe mein kya asar hai
tera mukh dekh aaina hua hai
tahayyur dil kun mere is qadar hai
taKHallus 'abru' bar ja hai mera
hamesha ashk-e-gham sin chashm tar hai
- Book : Deewan-e-Aabro (Pg. 246)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.