tumhaare KHwab mere sath sath chalte hain
tumhāre ḳhvāb mire saath saath chalte haiñ
ka.ī sarāb mire saath saath chalte haiñ
tumhārā ġham ġham-e-duniyā ulūm-e-āgāhī
sabhī azaab mire saath saath chalte haiñ
isī liye to maiñ uryāniyoñ se huuñ mahfūz
bahut hijāb mire saath saath chalte haiñ
na jaane kaun haiñ ye log jo ki sadiyoñ se
pas-e-naqāb mire saath saath chalte haiñ
maiñ be-ḳhayāl kabhī dhuup meñ nikal aa.uuñ
to kuchh sahāb mire saath saath chalte haiñ
tumhaare KHwab mere sath sath chalte hain
kai sarab mere sath sath chalte hain
tumhaara gham gham-e-duniya ulum-e-agahi
sabhi azab mere sath sath chalte hain
isi liye to main uryaniyon se hun mahfuz
bahut hijab mere sath sath chalte hain
na jaane kaun hain ye log jo ki sadiyon se
pas-e-naqab mere sath sath chalte hain
main be-KHayal kabhi dhup mein nikal aaun
to kuchh sahab mere sath sath chalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.