tum nahin pas koi pas nahin
tum nahīñ paas koī paas nahīñ
ab mujhe zindagī kī aas nahīñ
kashmakash meñ na ruuh paḌ jaa.e
yuuñ to marne kā kuchh hirās nahīñ
lāla-o-gul bujhā sakeñ jis ko
ishq kī pyaas aisī pyaas nahīñ
umr sī umr ho ga.ī barbād
dil-e-nādāñ abas udaas nahīñ
saañs lene meñ dard hotā hai
ab havā zindagī kī raas nahīñ
raah meñ apnī ḳhaak hone de
aur kuchh merī iltimās nahīñ
kyā batā.ūñ ma.āl-e-shauq 'jigar'
aah qaa.em mire havās nahīñ
tum nahin pas koi pas nahin
ab mujhe zindagi ki aas nahin
kashmakash mein na ruh paD jae
yun to marne ka kuchh hiras nahin
lala-o-gul bujha saken jis ko
ishq ki pyas aisi pyas nahin
umr si umr ho gai barbaad
dil-e-nadan abas udas nahin
sans lene mein dard hota hai
ab hawa zindagi ki ras nahin
rah mein apni KHak hone de
aur kuchh meri iltimas nahin
kya bataun maal-e-shauq 'jigar'
aah qaem mere hawas nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.