tum jo aa jao gham dhuan ho jae
tum jo aa jaao ġham dhuāñ ho jaa.e
bazm-e-jāñ rashk-e-āsmāñ ho jaa.e
TuuT jaatā hai dam mohabbat kā
bad-gumānī agar javāñ ho jaa.e
haal o maazī kī sarhadeñ aisī
zindagī pal meñ raftagāñ ho jaa.e
saaf suthrā muāmla rakhiye
us se pahle azāb-e-jāñ ho jaa.e
chīḳh uThtā hai daf.atan kirdār
jab koī shaḳhs bad-gumāñ ho jaa.e
lāzmī haiñ vazāhateñ 'ashfāq'
jab koī dost bad-gumāñ ho jaa.e
tum jo aa jao gham dhuan ho jae
bazm-e-jaan rashk-e-asman ho jae
TuT jata hai dam mohabbat ka
bad-gumani agar jawan ho jae
haal o mazi ki sarhaden aisi
zindagi pal mein raftagan ho jae
saf suthra muamla rakhiye
us se pahle azab-e-jaan ho jae
chiKH uThta hai dafatan kirdar
jab koi shaKHs bad-guman ho jae
lazmi hain wazahaten 'ashfaq'
jab koi dost bad-guman ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.