tujhe kalim koi kaise KHush-kalam kahe
tujhe 'kalīm' koī kaise ḳhush-kalām kahe
jo din ko raat batā.e sahar ko shaam kahe
piye baġhair kaho to ye tishna-kām kahe
vo rāz-e-mai jo surāhī kahe na jaam kahe
na jaane ruuTh ke baiThā hai dil kā chain kahāñ
mile to us ko hamārā koī salām kahe
kahūñ jo barhaman o shaiḳh se haqīqat-e-ishq
ḳhudā ḳhudā ye pukāre vo raam raam kahe
maiñ ġham kī rāgnī be-vaqt bhī agar chheḌūñ
zabān-e-vaqt mujhe vaqt kā imaam kahe
tujhe 'kalim' koi kaise KHush-kalam kahe
jo din ko raat batae sahar ko sham kahe
piye baghair kaho to ye tishna-kaam kahe
wo raaz-e-mai jo surahi kahe na jam kahe
na jaane ruTh ke baiTha hai dil ka chain kahan
mile to us ko hamara koi salam kahe
kahun jo barhaman o shaiKH se haqiqat-e-ishq
KHuda KHuda ye pukare wo ram ram kahe
main gham ki ragni be-waqt bhi agar chheDun
zaban-e-waqt mujhe waqt ka imam kahe
- Book : Jab Fasl-e-baharn aai thi (Pg. 198)
- Author : padm Shri Dr. Kaleem Ahmed Aajiz
- Publication : Sunrise Plastic Works, Patna (1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.