tujhse girwida yak zamana raha
tujh se girvīda yak zamāna rahā
kuchh faqat maiñ hī mubtalā na rahā
aap ko ab huī hai qadr-e-vafā
jab ki maiñ lā.iq-e-jafā na rahā
rāh-o-rasm-e-vafā vo bhuul ga.e
ab hameñ bhī koī gila na rahā
husn ḳhud ho gayā ġharīb-navāz
ishq muhtāj-e-iltejā na rahā
bas-ki nazzāra-soz thā vo jamāl
hosh-e-nazzārgī bajā na rahā
maiñ kabhī tujh se bad-gumāñ na huā
tū kabhī mujh se āshnā na rahā
aap kā shauq bhī to ab dil meñ
aap kī yaad ke sivā na rahā
aur bhī ho ga.e vo ġhāfil-e-ḳhvāb
nāla-e-sub.h-e-nā-rasā na rahā
husn kā naaz āshiqī kā niyāz
ab to kuchh bhī vo mājrā na rahā
ishq jab shikva sanj-e-husn huā
iltijā ho ga.ī gila na rahā
ham bharose pe un ke baiTh rahe
jab kisī kā bhī aasrā na rahā
mere ġham kī huī unheñ bhī ḳhabar
ab to ye dard lā-davā na rahā
aarzū terī barqarār rahe
dil kā kyā hai rahā rahā na rahā
ho ga.e ḳhatm mujh pe jaur-e-falak
ab koī morid-e-balā na rahā
jab se dekhī abul-kalām kī nasr
nazm-e-'hasrat' meñ bhī mazā na rahā
tujh se girwida yak zamana raha
kuchh faqat main hi mubtala na raha
aap ko ab hui hai qadr-e-wafa
jab ki main laiq-e-jafa na raha
rah-o-rasm-e-wafa wo bhul gae
ab hamein bhi koi gila na raha
husn KHud ho gaya gharib-nawaz
ishq muhtaj-e-ilteja na raha
bas-ki nazzara-soz tha wo jamal
hosh-e-nazzargi baja na raha
main kabhi tujh se bad-guman na hua
tu kabhi mujh se aashna na raha
aap ka shauq bhi to ab dil mein
aap ki yaad ke siwa na raha
aur bhi ho gae wo ghafil-e-KHwab
nala-e-subh-e-na-rasa na raha
husn ka naz aashiqi ka niyaz
ab to kuchh bhi wo majra na raha
ishq jab shikwa sanj-e-husn hua
iltija ho gai gila na raha
hum bharose pe un ke baiTh rahe
jab kisi ka bhi aasra na raha
mere gham ki hui unhen bhi KHabar
ab to ye dard la-dawa na raha
aarzu teri barqarar rahe
dil ka kya hai raha raha na raha
ho gae KHatm mujh pe jaur-e-falak
ab koi morid-e-bala na raha
jab se dekhi abul-kalam ki nasr
nazm-e-'hasrat' mein bhi maza na raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.