tujhse ab aur mohabbat nahin ki ja sakti
tujh se ab aur mohabbat nahīñ kī jā saktī
ḳhud ko itnī bhī aziyyat nahīñ dī jā saktī
jānte haiñ ki yaqīñ TuuT rahā hai dil par
phir bhī ab tark ye vahshat nahīñ kī jā saktī
habs kā shahr hai aur us meñ kisī bhī sūrat
saañs lene kī sahūlat nahīñ dī jā saktī
raushnī ke liye darvāza khulā rakhnā hai
shab se ab koī ijāzat nahīñ lī jā saktī
ishq ne hijr kā āzār to de rakkhā hai
is se baḌh kar to ri.āyat nahīñ dī jā saktī
tujh se ab aur mohabbat nahin ki ja sakti
KHud ko itni bhi aziyyat nahin di ja sakti
jaante hain ki yaqin TuT raha hai dil par
phir bhi ab tark ye wahshat nahin ki ja sakti
habs ka shahr hai aur us mein kisi bhi surat
sans lene ki sahulat nahin di ja sakti
raushni ke liye darwaza khula rakhna hai
shab se ab koi ijazat nahin li ja sakti
ishq ne hijr ka aazar to de rakkha hai
is se baDh kar to riayat nahin di ja sakti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.