tujh mein jis dam dhiyan jata hai
tujh meñ jis dam dhiyān jaatā hai
hosh aayā us aan jaatā hai
dil mirā gum huā sanam allāh
tujh pe merā gumān jaanā hai
tere mizhgāñ kī kyā karūñ tārīf
tiir ye be-kamān jaatā hai
haa.e zālim huuñ nīm-jāñ Tuk dekh
haath se ik javān jaatā hai
saj mire shoḳh kī zarā dekho
jaise bāñkā paThān jaatā hai
tujh mein jis dam dhiyan jata hai
hosh aaya us aan jata hai
dil mera gum hua sanam allah
tujh pe mera guman jaana hai
tere mizhgan ki kya karun tarif
tir ye be-kaman jata hai
hae zalim hun nim-jaan Tuk dekh
hath se ek jawan jata hai
saj mere shoKH ki zara dekho
jaise banka paThan jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.