tujhko KHiffat se bacha lun pani
tujh ko ḳhiffat se bachā luuñ paanī
tishnagī apnī chhupā luuñ paanī
ḳhaak uḌtī hai har ik chehre par
kis kī āñkhoñ se nikālūñ paanī
dhuup dariyā pe nazar rakhtī hai
tujh ko kuuze meñ chhupā luuñ paanī
uḌte phirte haiñ saroñ par bādal
ḳhvāb āñkhoñ meñ basā luuñ paanī
roz bachchoñ ko sulā duuñ yūñhī
roz patthar ko ubālūñ paanī
aag se kheltā hai kal mujh ko
aa tujhe apnā banā luuñ paanī
ḳhārzāroñ pe chalūñ nañge paañv
ḳhushk dhartī kī duā luuñ paanī
sabr kī had bhī to kuchh hotī hai
kitnā palkoñ pe sambhālūñ paanī
bhuul jā.ūñ na kahīñ tairākī
kyuuñ na kashtī hī jalā luuñ paanī
apnī vahshat kā ik iz.hār sahī
kar ke sard aag jalā luuñ paanī
zaḳhm ho phuul ho yā añgāra
ho jo raushan to bulā luuñ paanī
shart hai terī rifāqat varna
vaqt kī aag meñ Dālūñ paanī
aag matlūb-e-lab-e-tishna hai
maiñ tujhe kaise bulā luuñ paanī
chashm-e-ahbāb jo ho ḳhushk 'atā'
ḳhuun ko apne banā luuñ paanī
tujh ko KHiffat se bacha lun pani
tishnagi apni chhupa lun pani
KHak uDti hai har ek chehre par
kis ki aankhon se nikalun pani
dhup dariya pe nazar rakhti hai
tujh ko kuze mein chhupa lun pani
uDte phirte hain saron par baadal
KHwab aankhon mein basa lun pani
roz bachchon ko sula dun yunhi
roz patthar ko ubaalun pani
aag se khelta hai kal mujh ko
aa tujhe apna bana lun pani
KHarzaron pe chalun nange panw
KHushk dharti ki dua lun pani
sabr ki had bhi to kuchh hoti hai
kitna palkon pe sambhaalun pani
bhul jaun na kahin tairaki
kyun na kashti hi jala lun pani
apni wahshat ka ek izhaar sahi
kar ke sard aag jala lun pani
zaKHm ho phul ho ya angara
ho jo raushan to bula lun pani
shart hai teri rifaqat warna
waqt ki aag mein Dalun pani
aag matlub-e-lab-e-tishna hai
main tujhe kaise bula lun pani
chashm-e-ahbab jo ho KHushk 'ata'
KHun ko apne bana lun pani
- Book : Nawisht-e-Nawa (Pg. 58)
- Author : Ata Abidi
- Publication : Educational Publishing House, Delhi (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.