tujhko aawaz se samjhun ki bayan se dekhun
tujh ko āvāz se samjhūñ ki bayāñ se dekhūñ
mo'atabar kyā hai batā tujh ko kahāñ se dekhūñ
āb-dīda huuñ maiñ ḳhud zaḳhm-e-jigar se apne
terī āñkhoñ meñ chhupā dard kahāñ se dekhūñ
is khulī aañkh pe khulte nahīñ asrār tire
tū chhupā hai to tujhe chashm-e-nihāñ se dekhūñ
maiñ ne chāhā thā sanam ban ke tū āñkhoñ meñ rahe
tū ne chāhā maiñ tujhe chashm-e-butāñ se dekhūñ
har taraf tiir baraste haiñ nishāna maiñ huuñ
lauT aatī hai nazar ḳhud pe jahāñ se dekhūñ
is tarah dil meñ utar jā na rahe kuchh baaqī
tū hī tū ho merī nazroñ meñ jahāñ se dekhūñ
tujh ko aawaz se samjhun ki bayan se dekhun
mo'atabar kya hai bata tujh ko kahan se dekhun
aab-dida hun main KHud zaKHm-e-jigar se apne
teri aankhon mein chhupa dard kahan se dekhun
is khuli aankh pe khulte nahin asrar tere
tu chhupa hai to tujhe chashm-e-nihan se dekhun
main ne chaha tha sanam ban ke tu aankhon mein rahe
tu ne chaha main tujhe chashm-e-butan se dekhun
har taraf tir baraste hain nishana main hun
lauT aati hai nazar KHud pe jahan se dekhun
is tarah dil mein utar ja na rahe kuchh baqi
tu hi tu ho meri nazron mein jahan se dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.