toD kaDiyan zamir ki anjum
toḌ kaḌiyāñ zamīr ki 'anjum'
aur kuch der to bhī jī 'anjum'
ek bhī gaam chal na pā.egī
in añdheroñ meñ raushnī 'anjum'
zindagī tez dhuup kā dariyā
aadmī naav mom kī 'anjum'
jis ghaTā par thī aañkh sahrā ki
vo samundar pe mar miTī 'anjum'
jis pe suraj ki mehrbānī ho
us pe khiltī hai chāñdnī 'anjum'
sub.h kā ḳhvāb umr bhar dekhā
aur phir niiñd aa ga.ī 'anjum'
toD kaDiyan zamir ki 'anjum'
aur kuch der to bhi ji 'anjum'
ek bhi gam chal na paegi
in andheron mein raushni 'anjum'
zindagi tez dhup ka dariya
aadmi naw mom ki 'anjum'
jis ghaTa par thi aankh sahra ki
wo samundar pe mar miTi 'anjum'
jis pe suraj ki mehrbani ho
us pe khilti hai chandni 'anjum'
subh ka KHwab umr bhar dekha
aur phir nind aa gai 'anjum'
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.