teri nazar bhi nahin harf-e-muddaa bhi nahin
tirī nazar bhī nahīñ harf-e-mudda.ā bhī nahīñ
ḳhudā-gavāh mire paas kuchh rahā bhī nahīñ
hazār manzil-e-ġham se guzar chuke lekin
abhī junūn-e-mohabbat kī ibtidā bhī nahīñ
ġham-e-firāq ye shab kis tarah se guzregī
ki ab to aas kī mauhūm sī ziyā bhī nahīñ
na jaane kis liye ab bhī hai dil se baḌh ke aziiz
siyāh-dil bhī nahīñ aur pārsā bhī nahīñ
jo sach kahūñ to mohabbat-shi.ār 'ajmal' meñ
hazār aib sahī aadmī burā bhī nahīñ
teri nazar bhi nahin harf-e-muddaa bhi nahin
KHuda-gawah mere pas kuchh raha bhi nahin
hazar manzil-e-gham se guzar chuke lekin
abhi junun-e-mohabbat ki ibtida bhi nahin
gham-e-firaq ye shab kis tarah se guzregi
ki ab to aas ki mauhum si ziya bhi nahin
na jaane kis liye ab bhi hai dil se baDh ke aziz
siyah-dil bhi nahin aur parsa bhi nahin
jo sach kahun to mohabbat-shiar 'ajmal' mein
hazar aib sahi aadmi bura bhi nahin
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 259)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.