teri baaton mein chiknai bahut hai
tirī bātoñ meñ chiknā.ī bahut hai
ki kam hai duudh bālā.ī bahut hai
police kyuuñ aap mañgvāne lage haiñ
mujhe to aap kā bhaa.ī bahut hai
mohabbat kyuuñ mohalle-bhar se kar leñ
hameñ to ek ham-sā.ī bahut hai
vo mahbūba se biivī ban na jaa.e
mirī maañ ko pasand aa.ī bahut hai
nasha TuuTā nahīñ hai maar khā kar
ki ham ne pī hai kam khaa.ī bahut hai
teri baaton mein chiknai bahut hai
ki kam hai dudh baalai bahut hai
police kyun aap mangwane lage hain
mujhe to aap ka bhai bahut hai
mohabbat kyun mohalle-bhar se kar len
hamein to ek ham-sai bahut hai
wo mahbuba se biwi ban na jae
meri man ko pasand aai bahut hai
nasha TuTa nahin hai mar kha kar
ki hum ne pi hai kam khai bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.