tera niyaz-mand hun niyaz ke baghair bhi
tirā niyāz-mand huuñ niyāz ke baġhair bhī
dalīl ke baġhair bhī javāz ke baġhair bhī
misāl kyā ki sar-ba-sar tirā vajūd shā.erī
kalām ke baġhair bhī bayāz ke baġhair bhī
tirī talab kā fāsla ḳhalish ne tai karā diyā
sulūk ke baġhair bhī lihāz ke baġhair bhī
guzar rahī thī zindagī guzar rahī hai zindagī
nasheb ke baġhair bhī farāz ke baġhair bhī
tirī nigāh-e-ḳhud-nigar diloñ ko maat kar ga.ī
laḌā.ī ke baġhair bhī mahāz ke baġhair bhī
ravā hai ishq meñ ravā magar ye sajda-e-vafā
azaan ke baġhair bhī namāz ke baġhair bhī
tera niyaz-mand hun niyaz ke baghair bhi
dalil ke baghair bhi jawaz ke baghair bhi
misal kya ki sar-ba-sar tera wajud shaeri
kalam ke baghair bhi bayaz ke baghair bhi
teri talab ka fasla KHalish ne tai kara diya
suluk ke baghair bhi lihaz ke baghair bhi
guzar rahi thi zindagi guzar rahi hai zindagi
nasheb ke baghair bhi faraaz ke baghair bhi
teri nigah-e-KHud-nigar dilon ko mat kar gai
laDai ke baghair bhi mahaz ke baghair bhi
rawa hai ishq mein rawa magar ye sajda-e-wafa
azan ke baghair bhi namaz ke baghair bhi
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 05.04.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.